Friday 26 August 2011

Raatri(A silent but not so silent night.........)

Raatri...................................

Raatri….
Shaant ..par utni shaant v nhi ..
Khud me samete anant kshan,
Kuch maun kuch shor,
Dheere dheere wo ja rhi,
Bhor ki or.
 
Shaant sarakti raat me.....                                                         

maa ki god me ....
surakshit
mehsus krte., 
swapn lok me khoye,
hain masoom se sar.
din bhar ki bhaag daud k baad ,
nind me beshudh hain
kuch pade hue apne,
narm mulayam bistar par
kuch aankhein gadaaye, hain panno par
jinme ankit hain kuch kale akshar
jo ab bas padhne k liye hain,
vicharo ki jaagriti k liye nhi.
wo hain bas aankho ko thakaan de
use nidra k hawale krne k liye..

raatri k soonepan me.......
apne zingagi k soonepan ko
door krne ki koshish me
ek masheen  k aaage baithe
kucch khat-khat awwaz me,
likhte hue
door ,kahin ek
anjaani
duniya k
kuch andekhe kuch jaane-anjaano se,
log apni vicharo ki abhivyati krte,
or  khud me hi khush hote..

chup chaap simatee raatri me.........
kuch baithe hain,
din bhar ka lekha-jokha krne,
lage hain kai ab
apne aatm-vishleshan me.
kahin  vichaar chup chaap,
daayari me jagah paate hue
dwand , kuch prem ras liye
sabhi kuch anksharo me samete hue
veeleen ho rhe raatri me
jo ja rhi ek nayi bhor ki or

andheri kaali is raatri me....

lipapoti se chamakte hue..
kuch chere..
jo thirak rhe kisi dhun par..
befikr ho nashe me chur
kuch bhatakte kadam jameen par
sab samete..
 chali raatri bhor ki or

is madhya raatri me....

Tang ,sunsaan galiyon me
Sannate me kuch aahat hain
Kuch saaye h un andhero me
jo lage hain kaya or maya k len- den me

in sabse door........
ek band kamre me
ek soyi hui...
jaagti aakriti
jiske mann me uth rhe kuch vichaar
khud k astitva
pe prashn chinha lagakr
tabdil hote kuch siskiyon me..
wo sisikiyan jinhe
 koi v nhi sunta..
unhe v sath le,
aisi aur anek kahaniyaan,
apne aanchal me sama kar
chup chaap sarak rhi raat  
bhor ki or

raatri ...........
shaant...... par utni v shaant nhi..
chali bhor ki or






1 comment: