zindagi....
Kahin sehron ki uchi imaraton me
Thandi hawa me sukun talaashti ,ek zindagi
kahin kacharon k dher me basar karti ,
Chitharon me lapti hui , kuch dhundti, ek zindagi.
Ek vyast , khud me madmast zindagi,
Sukh suvidhaon me v trast zindagi
Aur dusri taraf duniya se apekshit,
nirash ,dard me v maun zindagi.
Kahin hothon pe jhoothi muskaan sajaaye ,
aalishan mehlon me v tanha si ek zindagi.
kahin khule badan ,sard garm hawaon me,
ek niwala dhundti zameen pe padi ek zindagi.
kitna antar hain dono me,
ek duadti ,bhagti...
bahut kuch paakar v asantusht zindagi.
aur ek taraf kuch batorti ,sanjoti,
abhaav me , atript zindagi..
dono hi magar zindagi se haare ..
or ek swayam k astitva se hi anjaan,aparichit ek zindagi.
No comments:
Post a Comment